Shayari
tumhein manaane kaa mujh ko khayaal kyaa aae
ki apne aap se ruThaa huaa to main bhi huun
bahut chhoTaa saa dil aur is mein ik chhoTi si khvaahish
so ye khvaahish bhi ab nilaam karne ke liye hai
بہت چھوٹا سا دل اور اس میں اک چھوٹی سی خواہش
سو یہ خواہش بھی اب نیلام کرنے کے لیے ہے
बहुत छोटा सा दिल और इस में इक छोटी सी ख़्वाहिश
सो ये ख़्वाहिश भी अब नीलाम करने के लिए है

tumhein manaane kaa mujh ko khayaal kyaa aae
ki apne aap se ruThaa huaa to main bhi huun
phuul mahkeinge yunhi chaand yunhi chamkegaa
tere hote hue manzar ko hasin rahnaa hai
main apni pyaas mein khoyaa rahaa khabar na hui
qadam qadam pe vo dariyaa pukaartaa thaa mujhe
jo khvaab ki dahliz talak bhi nahin aayaa
aaj us se mulaaqaat ki surat nikal aai
dil ki jaagir mein meraa bhi koi hissa rakh
main bhi teraa huun mujhe bhi to kahin rahnaa hai
talaash apni khud apne vajud ko kho kar
ye kaar-e-ishq hai is mein lagaa to main bhi huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
jab bhi aql banaati hai pahlaa misraa
dil ko misra-e-saani honaa paDtaa hai
aql kahti hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaaiye
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
dil par pahan liyaa hai vo gajre ke jaisaa shakhs
lekin gale kaa haar nahin kar rahaa huun main