Shayari
kamaan na tiir na talvaar apni hoti hai
magar ye duniyaa ki har baar apni hoti hai
kis liye is se nikalne ki duaaein maangun
mujh ko maalum hai manjdhaar se aage kyaa hai
کس لئے اس سے نکلنے کی دعائیں مانگوں
مجھ کو معلوم ہے منجدھار سے آگے کیا ہے
किस लिए इस से निकलने की दुआएँ माँगूँ
मुझ को मालूम है मंजधार से आगे क्या है

kamaan na tiir na talvaar apni hoti hai
magar ye duniyaa ki har baar apni hoti hai
na haath suukh ke jhaDte hain jism se apne
na shaakh koi samar-baar apni hoti hai
tavil umr ki Dheron duaaein bheji hain
mire charaagh ko paani se bharne vaalon ne
haar ko jiit ke imkaan se baandhe hue rakh
apni mushkil kisi aasaan se baandhe hue rakh
mujh ko pahchaan tu ai vaqt main vo huun jo faqat
ek ghalati ke liye arsh-e-barin se niklaa
haare hue logon ki kahaani ki tarah hain
ham log bhi bahte hue paani ki tarah hain
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa