Shayari
is shahr mein hai kaun hamaaraa tire sivaa
ye kyaa ki tu bhi apnaa kabhi ham-navaa na ho
kabhi to bhuul gae pi ke naam tak un kaa
kabhi vo yaad jo aae to phir piyaa na gayaa
کبھی تو بھول گئے پی کے نام تک ان کا
کبھی وہ یاد جو آئے تو پھر پیا نہ گیا
कभी तो भूल गए पी के नाम तक उन का
कभी वो याद जो आए तो फिर पिया न गया

is shahr mein hai kaun hamaaraa tire sivaa
ye kyaa ki tu bhi apnaa kabhi ham-navaa na ho
jaane kin mushkilon se jiite hain
kyaa karein koi mehrbaan na rahaa
ham milein yaa na milein phir bhi kabhi khvaabon mein
muskuraati hui aaeingi hamaari baatein
jaane kyuun un se milte rahte hain
khush vo kyaa honge jab khafaa hi nahin
aisi begaanagi nahin dekhi
ab kisi kaa koi yahaan na rahaa
sailaab-e-zindagi ke sahaare baDhe chalo
saahil pe rahne vaalon kaa naam-o-nishaan nahin
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ik bosa maangtaa huun main khairaat-e-husn ki
do maal ki zakaat ki daulat ziyaada ho
mausam-e-gul hamein jab yaad aayaa
jitnaa gham bhule the sab yaad aayaa
vo ayaadat ko na aayaa karein main dar guzraa
haal-e-dil puchh ke aur aag lagaa jaate hain
main tinke chuntaa phirtaa huun sayyaad tiliyaan
tayyaar ho rahaa hai qafas aashiyaan ke saath