Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
baDe logon se milne mein hamesha faasla rakhnaa
jahaan dariyaa samundar se milaa dariyaa nahin rahtaa
بڑے لوگوں سے ملنے میں ہمیشہ فاصلہ رکھنا
جہاں دریا سمندر سے ملا دریا نہیں رہتا
बड़े लोगों से मिलने में हमेशा फ़ासला रखना
जहाँ दरिया समुंदर से मिला दरिया नहीं रहता

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
sar jhukaaoge to patthar devtaa ho jaaegaa
itnaa mat chaaho use vo bevafaa ho jaaegaa
raat kaa intizaar kaun kare
aaj kal din mein kyaa nahin hotaa
ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae
jis din se chalaa huun miri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi miil kaa patthar nahin dekhaa
koi phuul saa haath kaandhe pe thaa
mire paanv shoalon pe jalte rahe
qatra Thiik hai dariyaa hone mein nuqsaan bahut hai
dekh to kaise Duub rahaa hai meraa lashkar mujh mein
pyaas baDhti jaa rahi hai bahtaa dariyaa dekh kar
bhaagti jaati hain lahrein ye tamaashaa dekh kar
taalaab iraade kaa bhare pal mein labaalab
jab yaar ke dariyaa-e-karam suun lahr aave
'fitrat' dil-e-kaunain ki dhaDkan to zaraa sun
ye hazrat-e-insaan hi ki azmat kaa bayaan hai
'ishq dariyaa mein jab se bahne lagaa
mauj-dar-mauj she'r kahne lagaa
sab ko qudrat thi khush-kalaami par
khaamushi mein zabaan-daraaz thaa main