Shayari
ye raah-e-ishq hai aakhir koi mazaaq nahin
saubaton se jo ghabraa gae hon ghar jaaein
ye dilchasp vaade ye rangin dilaase
ajab saazishein hain kahaan aa gayaa huun
یہ دلچسپ وعدے یہ رنگیں دلاسے
عجب سازشیں ہیں کہاں آ گیا ہوں
ये दिलचस्प वादे ये रंगीं दिलासे
अजब साज़िशें हैं कहाँ आ गया हूँ

ye raah-e-ishq hai aakhir koi mazaaq nahin
saubaton se jo ghabraa gae hon ghar jaaein
is shahr mein to kuchh nahin rusvaai ke sivaa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
lamha lamha mujhe viraan kiye detaa hai
bas gayaa mere tasavvur mein ye chehra kis kaa
phir marhala-e-khvaab-e-bahaaraan se guzar jaa
mausam hai suhaanaa to garebaan se guzar jaa
hasin hai shahr to ujlat mein kyuun guzar jaaein
junun-e-shauq use bhi nihaal kar jaaein
kahaan main abhi tak nazar aa sakaa huun
khudaa jaane kitni tahon mein chhupaa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye vasl ki rut hai ki judaai kaa hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaabaan kahin kaa
ham mein baaqi nahin ab khaalid-e-jaan-baaz kaa rang
dil pe ghaalib hai faqat hafiz-e-shiraaz kaa rang
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate