Shayari
ai gardisho tumhein zaraa taakhir ho gai
ab meraa intizaar karo main nashe mein huun
ye mahal ye maal o daulat sab yahin rah jaaeinge
haath aaegi faqat do gaz zamin marne ke baad
یہ محل یہ مال و دولت سب یہیں رہ جائیں گے
ہاتھ آئے گی فقط دو گز زمیں مرنے کے بعد
ये महल ये माल ओ दौलत सब यहीं रह जाएँगे
हाथ आएगी फ़क़त दो गज़ ज़मीं मरने के बाद

ai gardisho tumhein zaraa taakhir ho gai
ab meraa intizaar karo main nashe mein huun
ahl-e-dil ke vaaste paighaam ho kar rah gai
zindagi majburiyon kaa naam ho kar rah gai
'daagh' ke sher javaani mein bhale lagte hain
'mir' ki koi ghazal gaao ki kuchh chain paDe
ab main hudud-e-hosh-o-khirad se guzar gayaa
Thukraao chaahe pyaar karo main nashe mein huun
bazm-e-yaaraan hai ye saaqi mai nahin to gham na kar
kitne hain jo mai-kada bar-dosh hain yaaron ke biich
arz-e-dakan mein jaan to dilli mein dil bani
aur shahr-e-lucknow mein hinaa ban gai ghazal
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne