Shayari
vo lutf uThaaegaa safar kaa
aap-apne mein jo safar karegaa
G
Ghamgeen Dehlvikoi samjhaao unhein bahr-e-khudaa ai momino
us sanam ke ishq mein jo mujh ko samjhaate hain log
کوئی سمجھاؤ انہیں بہر خدا اے مومنو
اس صنم کے عشق میں جو مجھ کو سمجھاتے ہیں لوگ
कोई समझाओ उन्हें बहर-ए-ख़ुदा ऐ मोमिनो
उस सनम के इश्क़ में जो मुझ को समझाते हैं लोग
vo lutf uThaaegaa safar kaa
aap-apne mein jo safar karegaa
jaam le kar mujh se vo kahtaa hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yuun tere mai piine se sharmaate hain ham
mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na ikhtiyaar hai us kaa na meraa chaaraa hai
meri ye aarzu hai vaqt-e-marg
us ki aavaaz kaan mein aave
haath se mere vo piitaa nahin muddat se sharaab
yaaro kyaa apni khushi main ne pilaanaa chhoDaa
kiyaa badnaam ik aalam ne 'ghamgin' paak-baazi mein
jo main teri tarah se bad-nazar hotaa to kyaa hotaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq vo kaar-e-musalsal hai ki ham apne liye
ek lamha bhi pas-andaaz nahin kar sakte
ham bane the tabaah hone ko
aap kaa ishq to bahaana thaa
vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat
ab in lafzon kaa pichhaa kyuun karein ham