Shayari
tumhaare binaa sab adhure hain jaanaan
sabaa phuul khush-bu chaman raushni rang
ye kaisi vaqt ne badli hai karvaT
fareb-e-zindagi hai aur main huun
یہ کیسی وقت نے بدلی ہے کروٹ
فریب زندگی ہے اور میں ہوں
ये कैसी वक़्त ने बदली है करवट
फ़रेब-ए-ज़िंदगी है और मैं हूँ

tumhaare binaa sab adhure hain jaanaan
sabaa phuul khush-bu chaman raushni rang
ye shafaq chaand sitaare nahin achchhe lagte
tum nahin ho to nazaare nahin achchhe lagte
yahi fasaana rahaa hai junun ke sahraa mein
kabhi firaaq ke qisse kabhi visaal ki baat
vaqt khaamosh hai TuuTe hue rishton ki tarah
vo bhalaa kaise mire dil ki khabar paaegaa
shikasta-dil andheri shab akelaa raahbar kyuun ho
na ho jab ham-safar koi to apnaa bhi safar kyuun ho
kitaab-e-zist kaa unvaan ban gae ho tum
hamaare pyaar ki dekho ye intihaa saahab
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
meri saari zindagi ko be-samar us ne kiyaa
umr meri thi magar us ko basar us ne kiyaa
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa ki hai mukhtasar mujh ko
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain