Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
bichhaD kar kaarvaan se mein kabhi tanhaa nahin rahtaa
rafiq-e-raah ban jaati hai gard-e-kaarvaan meri
بچھڑ کر کارواں سے میں کبھی تنہا نہیں رہتا
رفیق راہ بن جاتی ہے گرد کارواں میری
बिछड़ कर कारवाँ से में कभी तन्हा नहीं रहता
रफ़ीक़-ए-राह बन जाती है गर्द-ए-कारवाँ मेरी

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
guzraa jahaan se main to kahaa hans ke yaar ne
qissa gayaa fasaad gayaa dard-e-sar gayaa
dil mein ik dard uThaa aankhon mein aansu bhar aae
baiThe baiThe hamein kyaa jaaniye kyaa yaad aayaa