Shayari
tu ik qadam bhi jo meri taraf baDhaa detaa
main manzilein tiri dahliz se milaa detaa
K
Kaifi Wijdanizamin ke zakhm samundar to bhar na paaegaa
ye kaam dida-e-tar tujh ko saunpnaa hogaa
زمیں کے زخم سمندر تو بھر نہ پائے گا
یہ کام دیدۂ تر تجھ کو سونپنا ہوگا
ज़मीं के ज़ख़्म समुंदर तो भर न पाएगा
ये काम दीदा-ए-तर तुझ को सौंपना होगा
tu ik qadam bhi jo meri taraf baDhaa detaa
main manzilein tiri dahliz se milaa detaa
tamaam shahr jise chhoDne ko aaya hai
vo shakhs kitnaa akelaa safar pe niklegaa
ye khule khule se gesu inhein laakh tu sanvaare
mire haath se sanvarte to kuchh aur baat hoti
sirf darvaaze talak jaa ke hi lauT aayaa huun
aisaa lagtaa hai ki sadiyon kaa safar kar aayaa
khud hi uchhaalun patthar khud hi sar par le luun
jab chaahun suune mausam se manzar le luun
bachaa liyaa tiri khushbu ke farq ne varna
main tere vahm mein tujh se lipaTne vaalaa thaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
khudaa ke haath hai biknaa na biknaa mai kaa ai saaqi
baraabar masjid-e-jaame ke ham ne ab dukaan rakh di
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye