Shayari
vo dhuup thi ki zamin jal ke raakh ho jaati
baras ke ab ke baDaa kaam kar gayaa paani
mein chaahtaa huun ta'alluq ke darmiyaan parda
vo chaahtaa hai mire haal par nazar karnaa
میں چاہتا ہوں تعلق کے درمیاں پردہ
وہ چاہتا ہے مرے حال پر نظر کرنا
में चाहता हूँ तअल्लुक़ के दरमियाँ पर्दा
वो चाहता है मिरे हाल पर नज़र करना

vo dhuup thi ki zamin jal ke raakh ho jaati
baras ke ab ke baDaa kaam kar gayaa paani
qalam uThaaun ki bachchon ki zindagi dekhun
paDaa huaa hai doraahe pe ab hunar meraa
khetiyaan chhaalon ki hoti thiin lahu ugte the
kitnaa zarkhez thaa vo dar-badari kaa mausam
ai mire paanv ke chhaalo mire ham-raah raho
imtihaan sakht hai tum chhoD ke jaate kyuun ho
dushmanon ko dost bhaai ko sitamgar kah diyaa
log kyuun barham hain kyaa shishe ko patthar kah diyaa
shaam hote hi bujh gayaa 'aajiz'
ek muflis kaa khvaab thaa na rahaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham