Shayari
ahl-e-mahshar dekh luun qaatil ko to pahchaan luun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhalaa saa naam thaa
gham mein kuchh gham kaa mashghalaa kiije
dard ki dard se davaa kiije
غم میں کچھ غم کا مشغلا کیجے
درد کی درد سے دوا کیجے
ग़म में कुछ ग़म का मशग़ला कीजे
दर्द की दर्द से दवा कीजे

ahl-e-mahshar dekh luun qaatil ko to pahchaan luun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhalaa saa naam thaa
hain sau tariqe aur bhi ai be-qaraar dil
izhaar-e-shikva shikve ke andaaz mein na ho
in se jab puchhaa gayaa bismil tumhaare kyaa karein
hans ke bole zakhm-e-dil dekhaa karein royaa karein
kam-sini kyaa kam thi is par qahr hai shakki mizaaj
apnaa naavak mere dil se khinch kar dekhaa kiye
kisi aankh mein niind aae to jaanun
miraa qissa-e-gham kahaani nahin hai
vo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahlaa rahaa
varna duniyaa chaar din bhi rahne ke qaabil na thi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab dil kaa jahaaz apnaa tabaahi mein paDe hai
le dauDein hain aansu vahin aaankhon ki gharaabein
nazar aataa nahin ab ghar mein vo bhi uf re tanhaai
ik aaine mein pahle aadmi thaa meri surat kaa
gham is qadar nahin the Dhale jitne sher mein
daulat banaai khuub mataa-e-qalil se