Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vasl mein rang uD gayaa meraa
kyaa judaai ko munh dikhaaungaa
وصل میں رنگ اڑ گیا میرا
کیا جدائی کو منہ دکھاؤں گا
vasl meñ rang uḌ gayā merā
kyā judā.ī ko muñh dikhā.ūñgā

jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
dil ki yak qatra khuun nahin hai besh
ek aalam ke sar balaa laayaa
mire saliqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liyaa
chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaraan hai
paat hare hain phuul khile hain kam-kam baad-o-baaraan hai
mar mar ke agar shaam to ro ro ke sahar ki
yuun zindagi ham ne tiri duuri mein basar ki
alag alag si hai samton kaa ab safar darpesh
tumhaaraa haath mire haath se judaa bhi nahin
rahnaa tum chaahe jahaan khabron mein aate rahnaa
ham ko ehsaas-e-judaai se bachaate rahnaa
ye alag baat ki chalte rahe sab se aage
varna dekhaa hi nahin teri talab se aage
ye vasl ki rut hai ki judaai kaa hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaabaan kahin kaa
us mehrbaan nazar ki inaayat kaa shukriya
tohfa diyaa hai eid pe ham ko judaai kaa