Shayari
rang-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
bahut kaam lene hain dard-e-jigar se
kahin zindagi ko qaraar aa na jaae
بہت کام لینے ہیں درد جگر سے
کہیں زندگی کو قرار آ نہ جائے
बहुत काम लेने हैं दर्द-ए-जिगर से
कहीं ज़िंदगी को क़रार आ न जाए

rang-e-mahfil chaahtaa hai ik mukammal inqalaab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
raasta hai ki kaTtaa jaataa hai
faasla hai ki kam nahin hotaa
ab ye aalam hai ki gham ki bhi khabar hoti nahin
ashk bah jaate hain lekin aankh tar hoti nahin
ham badalte hain rukh havaaon kaa
aae duniyaa hamaare saath chale
tum na maano magar haqiqat hai
ishq insaan ki zarurat hai
vaqt kartaa hai parvarish barson
haadisa ek dam nahin hotaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ek ik lamhe mein jab sadiyon ki sadiyaan kaT gaiin
aisi kuchh raatein bhi guzri hain miri tere baghair
ashk-e-gham-e-ulfat mein ik raaz-e-nihaani hai
pi jaao to amrit hai bah jaae to paani hai
farq jo kuchh hai vo mutrib mein hai aur saaz mein hai
varna naghma vahi har parda-e-aavaaz mein hai