Shayari
aah kartaa huun to aate hain pasine un ko
naala kartaa huun to raaton ko vo Dar jaate hain
mohabbat mein jiinaa nai baat hai
na marnaa bhi mar kar karaamaat hai
محبت میں جینا نئی بات ہے
نہ مرنا بھی مر کر کرامات ہے
मोहब्बत में जीना नई बात है
न मरना भी मर कर करामात है

aah kartaa huun to aate hain pasine un ko
naala kartaa huun to raaton ko vo Dar jaate hain
khat-e-shauq ko paDh ke qaasid se bole
ye hai kaun divaana khat likhne vaalaa
tumhein parvaa na ho mujh ko to jins-e-dil ki parvaa hai
kahaan DhunDun kahaan pheinki kahaan dekhun kahaan rakh di
janaab-e-shaikh mai-khaane mein baiThe hain barahna-sar
ab un se kaun puchhe aap ne pagDi kahaan rakh di
hain e'tibaar se kitne gire hue dekhaa
isi zamaane mein qisse isi zamaane ke
ye masjid hai ye mai-khaana taajjub is par aataa hai
janaab-e-shaikh kaa naqsh-e-qadam yuun bhi hai aur yuun bhi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai chaaragaro paas tumhaare na milegi
bimaar-e-mohabbat ki davaa aur hi kuchh hai
tu jo talvaar se nahlaae lahu mein mujh ko
ghusl-e-sehhat huaa bhi ishq ki bimaari se
ishq binaai baDhaa detaa hai
jaane kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
tamaam din ki mashaqqat-bhari takaan ke baad
tamaam raat mohabbat se phir jagaaun use