Shayari
muddat hui hai bichhDe hue apne-aap se
dekhaa jo aaj tum ko to ham yaad aa gae
dekh liijo jaanvar sar par biThaae jaaeinge
aadmi ki khaal ke juute banaae jaaeinge
دیکھ لیجو جانور سر پر بٹھائے جائیں گے
آدمی کی کھال کے جوتے بنائے جائیں گے
देख लीजो जानवर सर पर बिठाए जाएँगे
आदमी की खाल के जूते बनाए जाएँगे

muddat hui hai bichhDe hue apne-aap se
dekhaa jo aaj tum ko to ham yaad aa gae
aam teri ye khush-nasibi hai
varna langDon pe kaun martaa hai
kitne chehre lage hain chehron par
kyaa haqiqat hai aur siyaasat kyaa
us vaqt mujh ko daavat-e-jaam-o-subu mili
jis vaqt main gunaah ke qaabil nahin rahaa
kaun kahtaa hai bulandi pe nahin huun 'saaghar'
meri me'raaj-e-mohabbat miri rusvaai hai
hamaare laal ko darkaar hai vahi laDki
ki jis kaa baap police mein ho kam se kam deputy
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
aag to chaaron hi jaanib thi par achchhaa ye hai
hosh-mandi se kisi chiiz ko jalne na diyaa