Shayari
kaise ho kyaa hai haal mat puchho
mujh se mushkil savaal mat puchho
jab ye maanaa ki dil mein Dar hai bahut
tab kahin jaa ke dil se Dar niklaa
جب یہ مانا کہ دل میں ڈر ہے بہت
تب کہیں جا کے دل سے ڈر نکلا
जब ये माना कि दिल में डर है बहुत
तब कहीं जा के दिल से डर निकला

kaise ho kyaa hai haal mat puchho
mujh se mushkil savaal mat puchho
kuchh to apne liye bhi rakhnaa hai
zakhm auron ko kyuun dikhaaein sab
ham jo pahle kahin mile hote
aur hi apne silsile hote
zindagi is qadar kaThin kyuun hai
aadmi ki bhalaa khataa kyaa hai
ye alag baat ki vo mujh se khafaa rahtaa hai
main ik insaan huun aur mujh mein khudaa rahtaa hai
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
pahli nazar bhi aap ki uff kis balaa ki thi
ham aaj tak vo choT hain dil par liye hue
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
surat chhupaaiye kisi surat-parast se
ham dil mein naqsh aap ki tasvir kar chuke
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo