Shayari
dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
but karein aarzu khudaai ki
shaan teri hai kibriyaai ki
بت کریں آرزو خدائی کی
شان تیری ہے کبریائی کی
बुत करें आरज़ू ख़ुदाई की
शान तेरी है किबरियाई की

dekhte rahte hain chhup-chhup ke muraqqaa teraa
kabhi aati hai havaa bhi to chhupaa lete hain
tujhe daanista mahfil mein jo dekhaa ho to mujrim huun
nazar aakhir nazar hai be-iraada uTh gai hogi
manzil mili muraad mili muddaaa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
khudaa aur naakhudaa mil kar Dubo dein ye to mumkin hai
meri vajh-e-tabaahi sirf tufaan ho nahin saktaa
dekhte hi dekhte duniyaa se main uTh jaaungaa
dekhti ki dekhti rah jaaegi duniyaa mujhe
chamak jugnu ki barq-e-be-amaan maalum hoti hai
qafas mein rah ke qadr-e-aashiyaan maalum hoti hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
miri khvaahish hai ki aangan mein na divaar uThe
mire bhaai mire hisse ki zamin tu rakh le
tujh se milne ki tamannaa bhi bahut hai lekin
aane jaane mein kiraaya bhi bahut lagtaa hai
eid kaa chaand jo dekhaa to tamannaa lipTi
un se taqrib-e-mulaaqaat kaa rishta niklaa