Shayari
sab chale jaaeinge ik be-naam manzil ki taraf
ghar ki takhti ki jagah katbe lage rah jaaeinge
hai tamaashe kaa ikhtitaam yahi
jab tamaashaa bane tamaashaai
ہے تماشے کا اختتام یہی
جب تماشا بنے تماشائی
है तमाशे का इख़्तिताम यही
जब तमाशा बने तमाशाई

sab chale jaaeinge ik be-naam manzil ki taraf
ghar ki takhti ki jagah katbe lage rah jaaeinge
is baar huaa kun kaa asar aur tarah kaa
is baar hai imkaan-e-bashar aur tarah kaa
ik azaan aur namaaz kaa vaqfa
zindagi kitni mukhtasar paai
jhiil mein bas ek kankar pheink kar
daaere ki guunj main sunti rahi
jangon mein thi main maal-e-ghanimat ke taur pe
mere liye kabhi mujhe baanTaa nahin gayaa
hamaare she'r naghme aur sajde
adaa jo ho na paae kyaa hue vo
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa