Shayari
muddatein ho gaiin hisaab kiye
kyaa pataa kitne rah gae hain ham
roz ye khvaab Daraataa hai mujhe
koi saaya liye jaataa hai mujhe
روز یہ خواب ڈراتا ہے مجھے
کوئی سایہ لیے جاتا ہے مجھے
रोज़ ये ख़्वाब डराता है मुझे
कोई साया लिए जाता है मुझे

muddatein ho gaiin hisaab kiye
kyaa pataa kitne rah gae hain ham
iraada to nahin hai khud-kushi kaa
magar main zindagi se khush nahin huun
dekhnaa chaahtaa huun gum ho kar
kyaa koi DhunD ke laataa hai mujhe
jise dekho ghazal pahne hue hai
bahut sastaa ye zevar gayaa hai
asar hai ye hamaari dastakon kaa
jahaan divaar thi dar ho gayaa hai
mujh ko aksar udaas karti hai
ek tasvir muskuraati hui
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
koi mahkaar hai khushbu ki na rangon ki lakir
ek sahraa huun kahin se bhi guzar jaa mujh mein
pilaa saaqiyaa mai-e-jaan pilaa ki main laaun phir khabar-e-junun
ye khirad ki raat chhaTe kahin nazar aae phir sahar-e-junun