Shayari
yaad aae hain uff gunah kyaa kyaa
haath uThaae hain jab duaa ke liye
kitne hi phuul chun liye main ne
kitne hi phuul rah gae baaqi
کتنے ہی پھول چن لئے میں نے
کتنے ہی پھول رہ گئے باقی
कितने ही फूल चुन लिए मैं ने
कितने ही फूल रह गए बाक़ी

yaad aae hain uff gunah kyaa kyaa
haath uThaae hain jab duaa ke liye
aql ne tark-e-taalluq ko ghanimat jaanaa
dil ko badle hue haalaat pe ronaa aayaa
tiri javaan umangon ko ho gayaa hai kyaa
Dari Dari si mohabbat mujhe pasand nahin
junun ke kaif-o-kam se aagahi tujh ko nahin naaseh
guzarti hai jo divaanon pe divaane samajhte hain
log kahte rahe qarib hai vo
ham ne DhunDaa to duur duur na thaa
ye raat yunhi basar ho gai to kyaa hogaa
tire baghair sahar ho gai to kyaa hogaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
ham giraftaaron ko ab kyaa kaam hai gulshan se lek
ji nikal jaataa hai jab sunte hain aati hai bahaar
niklaa zabaan se jhuuT jo sach ke libaas mein
baDh ke sabhi ne ham ko gale se lagaa liyaa
ab aankh khuli ab hosh aayaa
bahkaa saa jab gul-posh aayaa