Shayari
saare jahaan se achchhaa hindostaan hamaaraa
ham bulbulein hain is ki ye gulsitaan hamaaraa
Poetry celebrating the irreplaceable bond of friendship.
saare jahaan se achchhaa hindostaan hamaaraa
ham bulbulein hain is ki ye gulsitaan hamaaraa
tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahin har haath milaane vaalaa
dost-daar-e-dushman hai e'timaad-e-dil maalum
aah be-asar dekhi naala naa-rasaa paayaa
mazhab nahin sikhaataa aapas mein bair rakhnaa
hindi hain ham vatan hai hindostaan hamaaraa
gunjaaish-e-adaavat-e-aghyaar yak taraf
yaan dil mein zof se havas-e-yaar bhi nahin
sau sau umidein bandhti hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare koi
kyuun jal gayaa na taab-e-rukh-e-yaar dekh kar
jaltaa huun apni taaqat-e-didaar dekh kar
lagi thi jaan ki baazi bisaat ulaT Daali
ye khel bhi hamein yaaron ne haarne na diyaa
ai nasim-e-sahari bu-e-mohabbat le aa
turra-e-yaar sati itr ki mahkaar kuun khol
khudaavandaa ye tere saada-dil bande kidhar jaaein
ki darveshi bhi ayyaari hai sultaani bhi ayyaari
baiThaa hai jo ki saaya-e-divaar-e-yaar mein
farmaan-ravaa-e-kishvar-e-hindustaan hai
bahut dinon se nahin hai kuchh us ki khair khabar
chalo 'faraaz' ko ai yaar chal ke dekhte hain
khush-haal ghar sharif tabiat sabhi kaa dost
vo shakhs thaa ziyaada magar aadmi thaa kam
qismat mein gar hamaari ye mai hai to saaqiyaa
be-ikhtiyaar aap se shisha karegaa jast
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
dil mein zauq-e-vasl o yaad-e-yaar tak baaqi nahin
aag is ghar mein lagi aisi ki jo thaa jal gayaa
zindagaani dard-e-sar hai yaar bin
kui hamaare sar kuun aa kar jhaaD de
anokhi vaza hai saare zamaane se niraale hain
ye aashiq kaun si basti ke yaa-rab rahne vaale hain
meri qismat mein gham gar itnaa thaa
dil bhi yaa-rab kai diye hote
is se pahle ki be-vafaa ho jaaein
kyuun na ai dost ham judaa ho jaaein
zindagi main bhi chalungaa tire pichhe pichhe
tu mire dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa
yuun lage dost tiraa mujh se khafaa ho jaanaa
jis tarah phuul se khushbu kaa judaa ho jaanaa
gham-e-jahaan ho rukh-e-yaar ho ki dast-e-adu
suluk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
khud apne se milne kaa to yaaraa na thaa mujh mein
main bhiiD mein gum ho gai tanhaai ke Dar se
faaeda kyaa soch aakhir tu bhi daanaa hai 'asad'
dosti naadaan ki hai ji kaa ziyaan ho jaaegaa