Shayari
mazhab nahin sikhaataa aapas mein bair rakhnaa
hindi hain ham vatan hai hindostaan hamaaraa
Verses that stir the soul — poetry of homeland, sacrifice, and national pride.
mazhab nahin sikhaataa aapas mein bair rakhnaa
hindi hain ham vatan hai hindostaan hamaaraa
mir-e-arab ko aai ThanDi havaa jahaan se
meraa vatan vahi hai meraa vatan vahi hai
turkon kaa jis ne daaman hiron se bhar diyaa thaa
meraa vatan vahi hai meraa vatan vahi hai
jannat ki zindagi hai jis ki fazaa mein jiinaa
meraa vatan vahi hai meraa vatan vahi hai
ik khun-chakaan kafan mein karoDon banaao hain
paDti hai aankh tere shahidon pe huur ki
ham ahl-e-qafas tanhaa bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-vatan
yaadon se moattar aati hai ashkon se munavvar jaati hai
vatan ki fikr kar naadaan musibat aane vaali hai
tiri barbaadiyon ke mashvare hain aasmaanon mein
har shakhs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huun main
phir adliya ne kyuun sar-e-maqtal kiyaa mujhe
ai khaak-e-vatan tujh se main sharminda bahut huun
mahngaai ke mausam mein ye tyauhaar paDaa hai
royaa thaa kaun kaun mujhe kuchh khabar nahin
main us ghaDi vatan se kai miil duur thaa
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qaafile
insaan zamin pe aaj gharib-ul-vatan saa hai
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
vo phuul sar chaDhaa jo chaman se nikal gayaa
izzat use mili jo vatan se nikal gayaa
yuun ruuh thi adam mein miri bahr-e-tan udaas
ghurbat mein jis tarah ho gharib-ul-vatan udaas
qaum ke haq mein jo bhi tajaaviz thiin iltavaa mein rahin
jin mein zaati mafaadaat the un pe fauran 'amal ho gayaa
jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
ghurbat ki subh mein bhi nahin hai vo raushni
jo raushni ki shaam-e-savaad-e-vatan mein thaa
qafas mein ho dil-e-bulbul shahid-e-jalva-e-gul
khizaan ne jo na kiyaa thaa vo ab bahaar kare