SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byIrfan Siddiqi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ab kahin aur chal ai naaqa-savaar-e-duniyaa bhar gayaa hai miri aankhon mein ghubaar-e-duniyaa mujh ko mil jaae agar saltanat-e-takiya-e-dil main to pal bhar na rahun baaj-guzaar-e-duniyaa be-dili phir havas-e-taaza mein Dhal jaati hai khatm hone hi mein aataa nahin kaar-e-duniyaa aksar aksar nazar aa jaataa hai mahtaab kaa khel chhup gayaa hai miri miTTi mein sharaar-e-duniyaa aisaa lagtaa hai ki siine mein uThi hai koi aaj isi lahr mein pheink aataa huun baar-e-duniyaa 'aadat-e-sair-o-tamaashaa nahin jaane vaali duur se dekhtaa rahtaa huun bahaar-e-duniyaa"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"chamak hai 'ishq ki tira-shabi mein pahle se main jal rahaa huun isi raushni mein pahle se chali thi khaak bhi meri vahin bikharne ko havaa ne raqs kiyaa us gali mein pahle se koi bhi halqa-e-zanjir ho asiir huun main tire hi silsila-e-dilbari mein pahle se tire visaal se kuchh kam nahin umid-e-visaal so ham halaak hue hain khushi mein pahle se Dubo diyaa mujhe mere lahu ne aakhir-kaar bhanvar to soe hue the nadi mein pahle se khulaa ki teraa hi paikar misaal-e-surat-e-sang chhupaa huaa thaa miri shaa'iri mein pahle se"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"kashti to apni khud hi jalaa di basti hamaari dariyaa kinaare dariyaa se puchho ye raat ham ne kaise guzaari dariyaa kinaare barfili rut ne jab bhi tumhaari miTTi kaa daana-paani churaayaa dekho parindo rab ne tumhaari rozi utaari dariyaa kinaare tum bhi musaafir kitne dilaavar ham bhi musaafir kaise shanaavar aandhi ke pichhe jangal se naata dariyaa se yaari dariyaa kinaare reti ke piile daaman pe ham bhi rang-e-hinaa se bikhre paDe hain mauj-e-bahaaraan aaegi kab tak teri savaari dariyaa kinaare tamsil samjho yaa isti'aara itnaa saa logo qissa hamaaraa aankhon mein apni phulon se chehre chehron ki kyaari dariyaa kinaare"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"raah-e-sitam mein soz-e-jigar kaise chhoD dein lambaa safar hai zaad-e-safar kaise chhoD dein aandhi mein chhoDte hain kahin aashiyaan parind ham is havaa ke khauf se ghar kaise chhoD dein chandan ke ban mein saanp nikalte hi rahte hain is Dar se khushbuon ke shajar kaise chhoD dein jab kuchh na thaa to ham ne diyaa thaa zamin ko khuun ab fasl pak chuki to samar kaise chhoD dein ai dil vo dekh khema-e-fardaa qarib hai tujh ko fasil-e-shab ke idhar kaise chhoD dein maanaa ki ek 'umr se Thahri hui hai raat insaan hain umid-e-sahar kaise chhoD dein"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"kuchh na kuchh bhuul to ho jaati hai insaan jo hain yaad vo bhi nahin aataa hai pareshaan jo hain sirf itnaa ki baDi chiiz hai milnaa dil kaa ham koi baat samajhte nahin naadaan jo hain raunaq-e-shahr se maayus na ho baanu-e-shahr khaak uDaane ko tire be-sar-o-saamaan jo hain khair duniyaa miri vahshat ke liye tang sahi aur ye 'arsa-e-baatin mein bayaabaan jo hain ai shab-e-dar-ba-dari aankh mein raushan kyaa hai kuchh sitaare ki sar-e-matla'-e-imkaan jo hain agle mausam mein hamaari koi pahchaan to ho in ko mahfuz rakhein taar-e-garebaan jo hain raat ki raat faqiron ki bhi dildaari kar daaim aabaad zamin ham tire mehmaan jo hain"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"ham se vo jaan-e-sukhan rabt-e-navaa chaahti hai chaand hai aur charaaghon se ziyaa chaahti hai us ko rahtaa hai hamesha mari vahshat kaa khayaal mere gum-gashta ghazaalon kaa pataa chaahti hai main ne itnaa use chaahaa hai ki vo jaan-e-muraad khud ko zanjir-e-mohabbat se rihaa chaahti hai chaahti hai ki kahin mujh ko bahaa kar le jaae tum se baDh kar to mujhe mauj-e-fanaa chaahti hai ruuh ko ruuh se milne nahin detaa hai badan khair ye biich ki divaar giraa chaahti hai ham parindon se ziyaada to nahin hain aazaad ghar ko chalte hain ki ab shaam huaa chaahti hai ham ne in lafzon ke pichhe hi chhupaayaa hai tujhe aur inhin se tiri tasvir banaa chaahti hai"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"sarhadein achchhi ki sarhad pe na ruknaa achchhaa sochiye aadmi achchhaa ki parinda achchhaa aaj tak hain usi kuche mein nigaahein aabaad suratein achchhi charaagh achchhe daricha achchhaa ek chullu se bhare ghar kaa bhalaa kyaa hogaa ham ko bhi nahr se pyaasaa palaT aanaa achchhaa phuul chehron se bhi pyaare to nahin hain jangal shaam ho jaae to basti hi kaa rasta achchhaa raat bhar rahtaa hai zakhmon se charaaghaan dil mein raftagaan tum ne lagaa rakkhaa hai mela achchhaa jaa ke ham dekh chuke band hai darvaaza-e-shahr ek raat aur ye rukne kaa bahaana achchhaa"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"phir kisi naam kaa mahtaab na niklaa mujh mein muddatein ho gaiin Duubaa thaa vo chehra mujh mein roz-o-shab jism ki divaar se Takraataa hai qaid kar rakkhaa hai kis ne ye parinda mujh mein ek muddat se miri bai'at-e-jaan maangti thi aaj khaamosh hai kyaa dekh ke duniyaa mujh mein vaise mere khas-o-khaashaak mein kyaa rakkhaa hai aag dikhlaao to niklegaa tamaasha mujh mein ret uDti hai bahut saahil-e-ehsaas ke paas sukhtaa jaataa hai shaayad koi dariyaa mujh mein ab main khud se bhi mukhaatib nahin hone paataa jab se chup ho gayaa vo bolne vaalaa mujh mein"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"dast-e-asaa-e-moajiza-gar bhi usi kaa hai gahre samundaron mein safar bhi usi kaa hai teraa yaqin sach hai miri chashm-e-etibaar sab kuchh fasil-e-shab ke udhar bhi usi kaa hai bas apnaa apnaa farz adaa kar rahe hain log varna sinaan bhi us ki hai sar bhi usi kaa hai tegh-e-sitam ko jis ne ataa ki hain mohlatein fariyaad-e-kushtagaan mein asar bhi usi kaa hai manzar mein jitne rang hain nairang usi ke hain hairaaniyon mein zauq-e-nazar bhi usi kaa hai mujrim huun aur kharaaba-e-jaan mein amaan nahin ab main kahaan chhupun ki ye ghar bhi usi kaa hai khud ko charaagh-e-raahguzar jaantaa huun main lekin charaagh-e-raahguzar bhi usi kaa hai"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"gae dinon ke darakhshanda raabton se na ruuTh mire khulus ke taabinda silsilon se na ruuTh mohabbaton ki vafaa-kesh baarishon se na ruuTh kisi se ruuTh magar apne doston se na ruuTh khizaan ki zard havaaein tiri talaash mein hain chaman se ruuTh darakhton ki Tahniyon se na ruuTh palaT na jaaein hamesha ko tere aangan se gudaaz lamhon ki be-khvaab aahaTon se na ruuTh aziiz jaan khuli khiDkiyon ki khushbu ko gali se tark-e-maraasim sahi gharon se na ruuTh gumaan-o-vaham ke be-naam jhuTpuTon se nikal zabaan na khol magar dil ki dhaDkanon se na ruuTh javaan ruton ko gale se lagaa ke ji 'irfaan' dil-o-nazar ke ziyaa-baar mausamon se na ruuTh"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"muravvaton pe vafaa kaa gumaan bhi rakhtaa thaa vo aadmi thaa ghalat-fahmiyaan bhi rakhtaa thaa bahut dinon mein ye baadal idhar se guzraa hai miraa makaan kabhi saaebaan bhi rakhtaa thaa ajiib shakhs thaa bachtaa bhi thaa havaadis se phir apne jism pe ilzaam-e-jaan bhi rakhtaa thaa Dubo diyaa hai to ab is kaa kyaa gila kiije yahi bahaao safine ravaan bhi rakhtaa thaa tu ye na dekh ki sab Tahniyaan salaamat hain ki ye darakht thaa aur pattiyaan bhi rakhtaa thaa har ek zarra thaa gardish mein aasmaan ki tarah main apnaa paanv zamin par jahaan bhi rakhtaa thaa lipaT bhi jaataa thaa aksar vo mere siine se aur ek faasla saa darmiyaan bhi rakhtaa thaa"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"koi bijli in kharaabon mein ghaTaa raushan kare ai andheri bastiyo tum ko khudaa raushan kare nanhe honTon par khilein maasum lafzon ke gulaab aur maathe par koi harf-e-duaa raushan kare zard chehron par bhi chamke surkh jazbon ki dhanak saanvle haathon ko bhi rang-e-hinaa raushan kare ek laDkaa shahr ki raunaq mein sab kuchh bhuul jaae ek buDhiyaa roz chaukhaT par diyaa raushan kare khair agar tum se na jal paaein vafaaon ke charaagh tum bujhaanaa mat jo koi dusraa raushan kare aag jalti chhoD aae ho to ab kyaa fikr hai jaane kitne shahr ye paagal havaa raushan kare dil hi faanus-e-havaa dil hi khas-o-khaar-e-havas dekhnaa ye hai ki us kaa qurb kyaa raushan kare yaa to is jangal mein nikle chaand tere naam kaa yaa miraa hi lafz meraa raastaa raushan kare"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"haq fath-yaab mere khudaa kyuun nahin huaa tu ne kahaa thaa teraa kahaa kyuun nahin huaa jab hashr isi zamin pe uThaae gae to phir barpaa yahin pe roz-e-jazaa kyuun nahin huaa vo shama bujh gai thi to kohraam thaa tamaam dil bujh gae to shor-e-azaa kyuun nahin huaa vaamaandgaan pe tang hui kyuun tiri zamin darvaaza aasmaan kaa vaa kyuun nahin huaa vo shoala-saaz bhi isi basti ke log the un ki gali mein raqs-e-havaa kyuun nahin huaa aakhir isi kharaabe mein zinda hain aur sab yuun khaak koi mere sivaa kyuun nahin huaa kyaa jazb-e-ishq mujh se ziyaada thaa ghair mein us kaa habib us se judaa kyuun nahin huaa jab vo bhi the gulu-e-burida se naala-zan phir kushtagaan kaa harf rasaa kyuun nahin huaa kartaa rahaa main tere liye doston se jang tu mere dushmanon se khafaa kyuun nahin huaa jo kuchh huaa vo kaise huaa jaantaa huun main jo kuchh nahin huaa vo bataa kyuun nahin huaa"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"mere hone mein kisi taur se shaamil ho jaao tum masihaa nahin hote ho to qaatil ho jaao dasht se duur bhi kyaa rang dikhaataa hai junun dekhnaa hai to kisi shahr mein daakhil ho jaao jis pe hotaa hi nahin khun-e-do-aalam saabit baDh ke ik din usi gardan mein hamaail ho jaao vo sitamgar tumhein taskhir kiyaa chaahtaa hai khaak ban jaao aur us shakhs ko haasil ho jaao ishq kyaa kaar-e-havas bhi koi aasaan nahin khair se pahle isi kaam ke qaabil ho jaao abhi paikar hi jalaa hai to ye aalam hai miyaan aag ye ruuh mein lag jaae to kaamil ho jaao main huun yaa mauj-e-fanaa aur yahaan koi nahin tum agar ho to zaraa raah mein haail ho jaao"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"ab zabaan khanjar-e-qaatil ki sanaa karti hai ham vahi karte hain jo khalq-e-khudaa karti hai phir koi raat bujhaa deti hai meri aankhein phir koi subh dariche mire vaa karti hai ek paimaan-e-vafaa khaak-basar hai sar-e-shaam khema khaali huaa tanhaai azaa karti hai hu kaa 'aalam hai giraftaaron ki aabaadi mein ham to sunte the ki zanjir sadaa karti hai kaisi miTTi hai ki daaman se lipaTti hi nahin kaisi maan hai ki jo bachchon ko judaa karti hai ab numudaar ho is gard se ai naaqa-savaar kab se basti tire milne ki du'aa karti hai"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"koyalein phir bhule-bisre gham jagaane aa gaiin garmiyaan le kar udaasi ke khazaane aa gaiin ThanDe daalaanon mein phir khulne lagi dil ki kitaab jalti do-pahrein saraa-parde giraane aa gaiin Dhak gaiin phir sandalin shaakhein sunahri baur se laDkiyaan dhaani dupaTTe sar pe taane aa gaiin phir dhanak ke rang baazaaron mein lahraane lage titliyaan maa'sum bachchon ko rijhaane aa gaiin khul rahe honge chhaton par saanvli shaamon ke baal kitni yaadein ham ko ghar vaapas bulaane aa gaiin dhuul se kab tak koi shaffaaf jazbon ko bachaae khvaahishon ki aandhiyaan phir khaak uDaane aa gaiin"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"miri ghazal kaa ye mazmun badalne vaalaa nahin vo milne vaalaa nahin dil sanbhalne vaalaa nahin lahu mein lau si bhaDakne lagi hai lagtaa hai ki ye charaagh bahut der jalne vaalaa nahin ab is qadar bhi tag-o-taaz kyaa ki main khud bhi tiri kamand se bach kar nikalne vaalaa nahin koi savaal hi kartaa nahin so baanu-e-shahr ye be-navaa dar-e-daulat se Talne vaalaa nahin na kar ab itni tag-o-dau mire sitaara-shikaar main khud kamand se bach kar nikalne vaalaa nahin"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"main jis mein gum huun vo mere khudaa kab aaegaa vo aab-zaar vo shahr-e-havaa kab aaegaa milegaa kab mire pairon ko intikhaab kaa izn main chal rahaa huun vo gum-raasta kab aaegaa khule raheinge kahaan tak ye baadbaan mere zamin ki raushniyon kaa pata kab aaegaa kanaar-e-ju-e-ravaan se kanaar-e-jaan ki taraf vo jaltaa bujhtaa huaa silsila kab aaegaa ye mere dil mein parinde jo shor karte hain inhein saliqa-e-saut-o-sadaa kab aaegaa jaleinge kab miri aankhon ke jangalon mein alaav idhar vo khoyaa huaa qaafila kab aaegaa main khud ko bhuul ke kis din use pukaarungaa vo apne aap ko suntaa huaa kab aaegaa"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"vo hilaal-e-maah-e-visaal hai dil-e-mehrbaan use dekhnaa pas-e-shaam-e-tan jo pukaarnaa sar-e-baam-e-jaan use dekhnaa miri 'aashiqi miri shaa'iri hai samundaron ki shanaavari vahi ham-kanaar use chaahnaa vahi be-karaan use dekhnaa vo sitaara hai sar-e-aasmaan abhi meri shaam-e-zavaal mein kabhi mere dast-e-kamaal mein tah-e-aasmaan use dekhnaa vo milaa thaa nakhl-e-muraad saa abhi mujh ko najd-e-khayaal mein tu zaraa ghubaar-e-shumaal mein mire saarbaan use dekhnaa na mile khabar kabhi dosto mire haal mere malaal ki tu bichhaD ke apne habib se pas-e-kaarvaan use dekhnaa"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"simaTti dhuup tahrir-e-hinaa si hoti jaati hai saloni shaam jaise khuun ki pyaasi hoti jaati hai thake honThon se boson ke parinde uDte jaate hain havas jaaDe ki shaamon ki udaasi hoti jaati hai sukut-e-shab mein tum aavaaz kaa shisha giraa denaa fazaa sunsaan kamre ki nindaasi hoti jaati hai koi rakh de kisi ilzaam kaa taaza gulaab is mein bichhaDti chaahaton ki god baasi hoti jaati hai to phir ik baar ye chaak-e-garebaan sab ko dikhlaa dein bahut badnaam apni khush-libaasi hoti jaati hai ghazal ki sohbaton se aur kuchh haasil nahin lekin ghazaalon se zaraa surat-shanaasi hoti jaati hai"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi