Quote
"ye baat ye tabassum ye naaz ye nigaahein aakhir tumhin bataao kyunkar na tum ko chaahein ab sar uThaa ke main ne shikvon se haat uThaayaa mar jaaungaa sitamgar nichi na kar nigaahein kuchh gul hi se nahin hai ruh-e-numu ko raghbat gardan mein khaar ki bhi Daale hue hai baanhein allaah ri dil-farebi jalvon ke baankpan ki mahfil mein vo jo aae kaj ho gaiin kulaahein ye bazm 'josh' kis ke jalvon ki rahguzar hai har zarre mein hain ghaltaan uThti hui nigaahein"







