Shayari
har dam duaa-e-aab-o-havaa maangte rahe
nange darakht sabz qabaa maangte rahe
divaangi ki aisi milegi kahaan misaal
kaanTe khaaridtaa huun gulaabon ke shahr mein
دیوانگی کی ایسی ملے گی کہاں مثال
کانٹے خریدتا ہوں گلابوں کے شہر میں
दीवानगी की ऐसी मिलेगी कहाँ मिसाल
काँटे ख़रीदता हूँ गुलाबों के शहर में

har dam duaa-e-aab-o-havaa maangte rahe
nange darakht sabz qabaa maangte rahe
is ahd mein rishton ki be-rang dukaanon mein
hiire se bhi mahngaa hai vishvaas kaa aaina
khvaab bikhreinge to ham ko bhi bikharnaa hogaa
shab ki ik ek aziyyat se guzarnaa hogaa
laakh suraj ki inaayaat rahein mere saath
meraa saaya na mire qad ke baraabar phailaa
utraa thaa meri ruuh ke rauzan se jo kabhi
ghuT ghuT ke mere jism mein marne lagaa hai vo
jab zamin ke muqaddar sanvar jaaeinge
aasmaan se farishte utar aaeinge
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
sar-e-khaamushi ye sajaavaTein usi rang-o-bu ki misaal hain
jo mahak ho qabr ke phuul mein jo chamak ho sham'-e-mazaar mein
na zikr gul kaa kahin hai na maahtaab kaa hai
tamaam shahr mein charchaa tire shabaab kaa hai