Shayari
us ne jab se haath pakaDnaa chhoD diyaa
tab se ham ne saath mein chalnaa chhoD diyaa
kaise use pata ho ki mamtaa 'azim hai
ham jaisaa kam-sini se jo bachcha yatim hai
کیسے اسے پتہ ہو کہ ممتا عظیم ہے
ہم جیسا کمسنی سے جو بچہ یتیم ہے
कैसे उसे पता हो कि ममता 'अज़ीम है
हम जैसा कम-सिनी से जो बच्चा यतीम है

us ne jab se haath pakaDnaa chhoD diyaa
tab se ham ne saath mein chalnaa chhoD diyaa
tum jo chaaho vo karte phirte ho
saari paabandiyaan hami par hain
teraa aaina kah rahe hain mujhe
meri tasvir dekhne vaale
ab zindagi se koi bhi shikva nahin mujhe
tu mil gayaa to koi tamanna nahin mujhe
dil kaa mire parinda tumhaare qafas mein thaa
jab tak tumhaaraa haath miri dastaras mein thaa
ai chaaraagar ye kaisi hain davaaein
miri taklif baDhti jaa rahi hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
dil kuchh der machaltaa hai phir yaadon mein yuun kho jaataa hai
jaise koi ziddi bachcha rote rote so jaataa hai
dev pari ke qisse sun kar
bhuke bachche so lete hain
baDi hasrat se insaan bachpane ko yaad kartaa hai
ye phal pak kar dobaara chaahtaa hai khaam ho jaae
mai ko jo istilaah mein kahte hain dukht-e-raz
vo mughbacha hai rindon kaa saalaa kahein jise
kisi bachche se pinjraa khul gayaa hai
parindon ki rihaai ho rahi hai