Shayari
tumhaare binaa sab adhure hain jaanaan
sabaa phuul khush-bu chaman raushni rang
shaakh-dar-shaakh hoti hai zakhmi
jab parinda shikaar hotaa hai
شاخ در شاخ ہوتی ہے زخمی
جب پرندہ شکار ہوتا ہے
शाख़-दर-शाख़ होती है ज़ख़्मी
जब परिंदा शिकार होता है

tumhaare binaa sab adhure hain jaanaan
sabaa phuul khush-bu chaman raushni rang
ye shafaq chaand sitaare nahin achchhe lagte
tum nahin ho to nazaare nahin achchhe lagte
yahi fasaana rahaa hai junun ke sahraa mein
kabhi firaaq ke qisse kabhi visaal ki baat
vaqt khaamosh hai TuuTe hue rishton ki tarah
vo bhalaa kaise mire dil ki khabar paaegaa
shikasta-dil andheri shab akelaa raahbar kyuun ho
na ho jab ham-safar koi to apnaa bhi safar kyuun ho
kitaab-e-zist kaa unvaan ban gae ho tum
hamaare pyaar ki dekho ye intihaa saahab
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
aage kuchh baDh kar milegi masjid-e-jaame 'riyaaz'
ik zaraa muD jaaiyegaa mai-kade ke dar se aap
niind kaa halkaa gulaabi saa khumaar aankhon mein thaa
yuun lagaa jaise vo shab ko der tak soyaa nahin
maston mein phuuT paD gai aate hi yaar ke
laDtaa hai aaj shishe se shisha sharaab kaa
saaqiyaa tishnagi ki taab nahin
zahr de de agar sharaab nahin