Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
bahr-e-gham se paar hone ke liye
maut ko saahil banaayaa jaaegaa
بحر غم سے پار ہونے کے لیے
موت کو ساحل بنایا جائے گا
बहर-ए-ग़म से पार होने के लिए
मौत को साहिल बनाया जाएगा

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kartaa main dardmand tabibon se kyaa rujua
jis ne diyaa thaa dard baDaa vo hakim thaa
tanhaai ke lamhaat kaa ehsaas huaa hai
jab taaron bhari raat kaa ehsaas huaa hai
jigar mein dard to hai dil mein iztiraab to hai
tumhaare gham mein miri zindagi kharaab to hai