Shayari
raah-e-talab mein daam-o-diram chhoD jaaeinge
likh lo hamaare sher baDe kaam aaeinge
tum ko sote mein bhi kab aankh uThaa kar dekhaa
ham ne khvaabon mein bhi aaankhon ki nigah-daari ki
تم کو سوتے میں بھی کب آنکھ اٹھا کر دیکھا
ہم نے خوابوں میں بھی آنکھوں کی نگہ داری کی
तुम को सोते में भी कब आँख उठा कर देखा
हम ने ख़्वाबों में भी आँखों की निगह-दारी की

raah-e-talab mein daam-o-diram chhoD jaaeinge
likh lo hamaare sher baDe kaam aaeinge
rakhte hain mohabbat ko taghaaful mein chhupaa kar
parvaa hi to karte hain jo parvaa nahin karte
vo to bas jhuTi tasalli ko kahaa thaa tum se
ham to apne bhi nahin, khaak tumhaare hote
main bhalaa haath duaaon ko uThaataa kaise
us ne chhoDi hi nahin koi zarurat baaqi
saare to nahin jaan bachaane mein lage hain
kuchh ghaav hamein zakhm lagaane mein lage hain
yaqin khud uTh gayaa hai mujh se meraa
miri itni taraf-daari hui hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
afsos umr kaT gai ranj-o-malaal mein
dekhaa na khvaab mein bhi jo kuchh thaa khayaal mein
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
kam raushan ik khvaab aaina ik piilaa murjhaayaa phuul
pas-manzar ke sannaaTe mein ek nadi pathrili si
tu khvaab hi mein sahi aa ke khud javaab to de
bujhi bujhi si miri aarzu ko aab to de