Shayari
dil dhaDakne kaa sabab zindagi ho sakti hai
ye zaruri to nahin hai ki tiri yaad hi ho
pareshaan hai bahut is dard se dil
havaa Thahre to kuchh tadbir Thahre
پریشاں ہے بہت اس درد سے دل
ہوا ٹھہرے تو کچھ تدبیر ٹھہرے
परेशाँ है बहुत इस दर्द से दिल
हवा ठहरे तो कुछ तदबीर ठहरे

dil dhaDakne kaa sabab zindagi ho sakti hai
ye zaruri to nahin hai ki tiri yaad hi ho
kal dopahar ko saath rahaa thaa vo der tak
phir us ke baa'd shaam rahi shaam hi rahi
hamaare chaak-e-garebaan kaa taar thaa ye kabhi
ye jis pharere ko nikle hain aap lahraane
ek hi dar thaa gali mein vo bhi darvaaza huaa
jab se har aavaaz par be-kaar mein khulne lagaa
vo ik aavaaz thi manzil nahin thi
magar main us ki jaanib chal paDaa thaa
aa jaati hain kuchh khushiyaan andeshon mein
kuchh andeshe khushiyon mein aa jaate hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham-e-dauraan mein kahaan baat gham-e-jaanaan ki
nazm hai apni jagah khuub magar haae ghazal
aaThon pahr lahu mein nahaayaa kare koi
yuun bhi na apne dard ko dariyaa kare koi
kuchh aur bhi hain kaam hamein ai gham-e-jaanaan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanvaare