Shayari
ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
sisakti aarzu kaa dard huun fōtpath jaisaa huun
ki mujh mein chhaTpaTaataa shahr-e-kalkatta bhi rahtaa hai
سسکتی آرزو کا درد ہوں فٹ پاتھ جیسا ہوں
کہ مجھ میں چھٹپٹاتا شہر کلکتہ بھی رہتا ہے
सिसकती आरज़ू का दर्द हूँ फ़ुटपाथ जैसा हूँ
कि मुझ में छटपटाता शहर-ए-कलकत्ता भी रहता है

ai shahr-e-sitam-zaad tiri umr baDi ho
kuchh aur bataa naql-e-makaani ke alaava
aate aate aaegi duniyaa-daari
jaate jaate faaqa-masti jaaegi
ghaib kaa aisaa parinda hai zamin par insaan
aasmaanon ko jo shah-par pe uThaae hue hai
ham bhi tire beTe hain zaraa dekh hamein bhi
ai khaak-e-vatan tujh se shikaayat nahin karte
baDi bholi hai kharchili zarurat
shahanshaahi kamaai maangti hai
gharibi kaaTnaa aasaan nahin hai
vo saari umr patthar kaaTtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
main aa kar dushmanon mein bas gayaa huun
yahaan hamdard hain do-chaar mere
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa