Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
tu mere dard se aagaah yuun na hovegaa
ilaahi choT kisi din tire bhi dil ko lage
تو میرے درد سے آگاہ یوں نہ ہووے گا
الٰہی چوٹ کسی دن ترے بھی دل کو لگے
तू मेरे दर्द से आगाह यूँ न होवेगा
इलाही चोट किसी दिन तिरे भी दिल को लगे

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bas ai 'mir' mizhgaan se ponchh aansuon ko
tu kab tak ye moti pirotaa rahegaa
rag-e-har-saaz ye kahti hai ki ai naghma-taraaz
mujh ko ik saltanat-e-saut-o-sadaa chaahiye thi
kuchh to tanhaai ki raaton mein sahaaraa hotaa
tum na hote na sahi zikr tumhaaraa hotaa