Shayari
ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
khvaahishon ne dil ko tasvir-e-tamannaa kar diyaa
ik nazar ne aaine mein aks gahraa kar diyaa
خواہشوں نے دل کو تصویر تمنا کر دیا
اک نظر نے آئنے میں عکس گہرا کر دیا
ख़्वाहिशों ने दिल को तस्वीर-ए-तमन्ना कर दिया
इक नज़र ने आइने में अक्स गहरा कर दिया

ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
kaun uThaae ishq ke anjaam ki jaanib nazar
kuchh asar baaqi hain ab tak hairat-e-aaghaaz ke
musaafiraan-e-rah-e-shauq sust-e-gaam ho kyuun
qadam baDhaae hue haan qadam baDhaae hue
aap ke lab pe aur vafaa ki qasam
kyaa qasam khaai hai khudaa ki qasam
apne jalne mein kisi ko nahin karte hain sharik
raat ho jaae to ham shama bujhaa dete hain
gham-e-dauraan ko baDi chiiz samajh rakkhaa thaa
kaam jab tak na paDaa thaa gham-e-jaanaan se hamein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
parinde dekh kar us shakhs ko par phaDphaDaate hain
jo qaid-e-dil hai zaahir mein magar aazaad lagtaa hai
dil-o-nazar ko abhi tak vo de rahe hain fareb
tasavvuraat-e-kuhan ke qadim but-khaane
pahunchi dilon ki aag hamaare khiyaam tak
lekin dhuaan to jaaegaa darbaar-e-shaam tak