Shayari
marte rahnaa miraa har roz yuun thoDaa thoDaa
qatl hai jis ko main saabit nahin kar paaungaa
un se khudaa ko chhin ke badle mein kuchh to do
vo jin ke paas kuchh bhi khudaa ke sivaa nahin
ان سے خدا کو چھین کے بدلے میں کچھ تو دو
وہ جن کے پاس کچھ بھی خدا کے سوا نہیں
उन से ख़ुदा को छीन के बदले में कुछ तो दो
वो जिन के पास कुछ भी ख़ुदा के सिवा नहीं

marte rahnaa miraa har roz yuun thoDaa thoDaa
qatl hai jis ko main saabit nahin kar paaungaa
main akelaa rah gayaa to main ne kuchh rishte banaae
main ne kuchh rishte banaae main akelaa rah gayaa
ham numu paate rahe hain apni himmat se ‘sho’aib’
pattharon mein ugne vaale aur kitne sabz hon
kuchh masala to tere jahaan mein zarur hai
jaan lag gai hamaari magar ji lagaa nahin
ulTaa mujh ko hi uThaa leinge uThaane vaale
laapata pyaaron ke baare mein agar puchhungaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ik maasum parinda hai dil
un aankhon mein jaal hai saahab
aap ki baaton mein aa kar kho diyaa dil kaa sukun
zindagi mein dekhiye meri bachaa kuchh bhi nahin
ik raat dil-jalon ko ye aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan jahannam mein Daal de
na toDo dil ki hai kaaba kaa Dhaanaa
ye do ghar hain magar buniyaad hai ek