Sher
"kyon tasavvur men ji raha huun main jab haqiqat men mar hi jaana hai"
A world of emotion in just two lines — the purest form of Urdu & Hindi poetry
"kyon tasavvur men ji raha huun main jab haqiqat men mar hi jaana hai"
"Thiik aa.i tan pe apne qaba-e-barahnagi baani libas chhoTe hue ya baDe hue"
"apne hain sab paraya koi nahin par mire dukh men aaya koi nahin"
"apni gharaz ke aage sada-e-zamir kya saare takallufat ko nilam kijiye"
"jaane kis kirdar ki kaa.i mere ghar men aa pahunchi ab to 'zafar' chalna hai mushkil angan ki chikna.i men"
"mohabbat, hijr, nafrat mil chuki hai main taqriban mukammal ho chuka huun"
"bas ik khana-badoshi hai ki ab tak saath hai apne ta.ayyush hai tasavvur men bhi ab koi makan rakhna"
"ek din donon ne apni haar maani ek saath ek din jis se jhagaDte the usi ke ho ga.e"
"zara parda haTa do samne se bijliyan chamken mira dil jalva-gah-e-tur ban jaa.e to achchha ho"
"us ke munh pe mukar gaya tha dil aaj had se guzar gaya tha dil"
"yahan ham ne kisi se dil lagaya hi nahin 'manzar' ki is duniya se akhir ek din be-zar hona tha"
"aur koi pahchan miri banti hi nahin jante hain sab log ki bas tera huun main"
"nuuh baiThe hain charpa.i par charpa.i pe nuuh baiThe hain"
"misl-e-mausam jo badalte to koi baat na thi tu ne to badla hai girgiT ki tarah rang apna"
"kyuun batata nahin koi kuchh bhi akhir aisa bhi kya hua hai mujhe"
"log kahte hain mohabbat men asar hota hai kaun se shahr men hota hai kidhar hota hai"
"tujh se hijab kya magar ai ham-nashin na puchh us dard-e-hijr ko jo shab-e-gham uTha nahin"
"qaazi ko jo rind kuchh chaTa den masjid ki baghal men mai-kada ho"
"tuDa-muDa hai magar khuda hai ise to sahib sambhal rakhiye"
"zindagi yuun bhi guzar hi jaati kyuun tira rahguzar yaad aaya"
"har ik jagah tiri barq-e-nigah dauD ga.i gharaz ye hai ki kisi chiiz ko qarar na ho"
"main to hairan huun matab hai ki dar-e-yar hai ye yaan to bimar pe bimar chale aate hain"
"tiri zamin pe karta raha huun mazduri hai sukhne ko pasina muavza hai kahan"
"har taraf hain khana-barbadi ke manzar be-shumar kuchh Thikana hai bhala is jazba-e-tamir ka"