SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAnwar Anjum(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"qarib aa ki khazaana huun laal-o-gauhar kaa hazaar ret sahi ret huun samundar kaa khilaa hai phuul bahut roz mein muqaddar kaa bas ab na band ho darvaaza tere mandar kaa ye raahe-gaahe kaa milnaa bhi koi milnaa hai jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar kaa tamaam-shahr hai hangaama-e-nashaat mein gum magar ye karb ye sannaaTaa mere andar kaa sadaa kisi ki ho aataa hai apne-aap se khauf main vo gharib ki ghar kaa rahaa na baahar kaa kabhi na khul ke hansaa huun na royaa ji-bhar ke rakhaa hai main ne hamesha qadam baraabar kaa kabhi kabhi kaa ho qissa to koi dukh bhi sune uThaae bojh bhalaa kaun zindagi-bhar kaa gurez hai use meri gali se yuun jaise yahaan jo aayaa to ho jaaegaa vo patthar kaa asir-e-daam fareb-e-zabaan huaa aakhir na e'tibaar jise aayaa dida-e-tar kaa gham-e-zamaana hai vo tegh-e-tishna-kaam 'anjum' uDe hain paanv agar vaar bach gayaa sar kaa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"tu chaand hai to chaand-nagar mujh se chhin le main kyaa karungaa khaak-basar mujh se chhin le ab teri be-rukhi kaa bhi aataa hai yuun khayaal jaise koi mataa-e-digar mujh se chhin le tu khud hi apni tarz-e-sitam par nigaah rakh main kyaa kahun ye dard-e-jigar mujh se chhin le Daste raheinge zehn ko kab tak mushaahidaat yaarab ye imtiyaaz-e-nazar mujh se chhin le pahchaanti nahin hai use jab kisi ki aankh be-kaar hai nishaan-e-hunar mujh se chhin le ru-e-sahar tu khair mujhe kyaa dikhaaegaa tu aarzu-e-did-e-sahar mujh se chhin le"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"kyaa ravish rakkhi hai phir aap ne auron ke liye gar yahi tarz-e-mulaaqaat hai apnon ke liye rasm-e-ulfat bhi agar aap ke aadaab mein hai to uThaa rakkhi hai vo kaun se vaqton ke liye jaan kaa rog banaa li jo mohabbat ham ne ab vo sunte hain ki tafrih hai logon ke liye teri baatein ye tiraa harf-e-tasalli jaise saamne rakh de khilaune koi bachchon ke liye kabhi aalam thaa ki har khat thaa tiraa dida-e-tar rah gae ab to ye auraaq havaalon ke liye mere chehre pe ho kyuun rang-e-shikaayat 'anjum' mere daaman kaa har ik taar hai yaaron ke liye"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"jahaan-bhar se na yuun meraa tazkira kiije main dil kaa raaz huun dil se miraa gila kiije ye kyaa yaqin ki samajh legaa har ishaara vo labon kaa farz nigaahon se kyuun adaa kiije nasib mein jo kabhi subh kaa ujaalaa ho to mil hi jaaegaa har raat kyaa duaa kiije khulus ko bhi yahaan maslahat kaheinge log bhalaa yahi hai kisi se na jo bhalaa kiije dar-e-havas pe hai har-lahza ik nai dastak jo khud se chhupte na phirye to aur kyaa kiije ye ji mein hai ki tiraa but taraash kar barson tire huzur khaDe arz-e-muddaaa kiije tumhaare haal se ham be-khabar nahin 'anjum' par ab bataao ki kyaa ranj ke sivaa kiije"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"dhuup ho gae saae jal gae shajar jaise jam gai hai dharti par ab ke dopahar jaise ziist ke kharaabe mein ik siyaah ghar dil kaa aur dil mein yaad us ki raushni kaa dar jaise kaise kaise hangaame ghere rakhte the din-raat lag gai nigaahon ko apni hi nazar jaise yaa to aane se pahle ghar kaa puchhte ahvaal aa gae to ab kiije ho guzar-basar jaise aise taktaa rahtaa huun us gali ke logon ko lene aaegaa koi meri bhi khabar jaise muddaton main guzraa thaa us ke shahr se lekin sab makaan lagte the mujh ko us ke ghar jaise naqsh-gaah-e-hasti mein dekhi apni bhi tasvir ek kaaghaz-e-saada aansuon se tar jaise chaahti hai ab vahshat duur tak bayaabaani kaaTne ko aate hain ghar ke baam-o-dar jaise mujh se kyaa sahe jaate un ki bazm ke aadaab ashk maangte the vo ashk bhi guhar jaise main bhi kitnaa saada huun rahguzar pe baiThaa huun rok legaa vo paanv mujh ko dekh kar jaise meri khvaahishein 'anjum' jaise naachti pariyaan meraa saaraa mustaqbil khvaab kaa nagar jaise"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"chup baiThaa main kyaa kyaa sochtaa rahtaa huun aakhir main kyuun itnaa tanhaa tanhaa huun pahron jin ki jhiil mein khoyaa rahtaa huun un aankhon ki yaad mein Duubaa rahtaa huun tum jo baatein bhuul chuke ho muddat se main to un mein ab bhi uljhaa rahtaa huun tum badlo to badlo apni raah magar main to ek Dagar par chaltaa rahtaa huun saada-pan kuchh neki hi kaa naam nahin dekhne mein to main bhi sidhaa-saada huun tere ghar bhi pahunchaa hai ye shor kabhi yaa main hi anjaan sadaaein suntaa huun ghar ki divaaron mein yuun dil-tang na ho DhunD mujhe main is ghar kaa darvaaza huun kyaa kahiye ye kaise zamin hamvaar hui is sahraa mein kaise paani laayaa huun jis ne pyaar se dekhaa us ke saath huaa sach puchho to main bhi ab tak bachcha huun 'anjum' main kyuun duniyaa par ilzaam rakhun aankhein hain to phir kyuun Thokar khaataa huun"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"chaand taare jise har shab dekhein ham bhi us shokh ko yaarab dekhein yuun milein un se ki apnaa chehra vo bhi hairaan huun kal jab dekhein pahle bas dil ko khabar thi dil ki ab vafaa aam hui sab dekhein qurb mein kyaa hai jo duuri mein nahin tum jo aao to kisi shab dekhein ji mein hai phir karein izhaar-e-vafaa phir tire larze hue lab dekhein main ki huun ek hi aashufta khayaal log har baat mein matlab dekhein jo kisi ne kabhi dekhe na sune vo tamaashe vo fusun ab dekhein aaj to yuun gale lag jaao ki bas phir to jaane tumhein kab kab dekhein laakh patthar sahi vo but 'anjum' vo ghaDi ham se mile tab dekhein"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"huaa kare agar us ko koi gila hogaa zabaan khuli hai to phir kuchh to faisla hogaa kabhi kabhi to ye dil mein savaal uThtaa hai ki is judaai mein kyaa us ne paa liyaa hogaa vo garm garm nafas kaise Thahrte honge ab in shabon ko vo kaise guzaartaa hogaa kabhi jo guzrun tire shahr se to sochtaa huun ki is zamin pe kyaa kyaa qadam paDaa hogaa khushaa vo raunaq-e-hangaama-e-visaal ab to yaqin hi nahin aataa ki yuun huaa hogaa vo khoi khoi vafaaon kaa bhulaa-bisraa giit kabhi to us ke shabistaan mein bhi gayaa hogaa nikal paDe the yunhi ham to ek din ghar se kise khabar thi ki yuun tum se saamnaa hogaa kabhi uThe hi nahin ham talaash ko varna koi to shahr mein apnaa bhi aashnaa hogaa ye haul-naak khamoshi judaai kaa aashob main sochtaa huun ki yunhi rahaa to kyaa hogaa kis aarzu mein uThe kis taraf chale 'anjum' is aadhi raat mein ab kis kaa dar khulaa hogaa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"ye haath apnaa mire haath mein thamaa diije thakaa huaa huun zaraa dil ko hausla diije bas ab mile hain to kiije na aas-paas kaa khauf jo sang-e-raah mile paanv se haTaa diije ye aur daur hai aur sab yahaan mujhi se hain vo kohkan ki hikaayaat sab bhulaa diije nahin hai aap ko fursat agar tavajjoh ki to main bhi lauTtaa huun ghar ko aa gayaa diije miraa vajud bhi hai aap ki jabin kaa daagh use bhi harf-e-ghalat ki tarah miTaa diije kal aap ne jo chhuDaayaa to chhuT sakegaa na haath jo uljhanein hain mujhe aaj hi bataa diije ye khel khelaa hai jab pyaar kaa to phir ai dil ab apne-aap ko bhi daav par lagaa diije tamaam-umr bhaTakti rahi nazar ki kahin mile koi jise nazraana-e-vafaa diije miri to jumbish-e-lab bhi hai naa-khushi kaa sabab ab aai hai koi tarz-e-bayaan sikhaa diije vafaa hai jurm to iqraar-e-jurm hai mujh ko ye main huun ye miraa dil lijiye sazaa diije vo sahme sahme judaai ke muztarib lamhe miri nigaah mein ik baar phir basaa diije gayaa nahin hai abhi daur aap kaa 'anjum' jo dil udaas ho phir se use sadaa diije"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"ye narm haath mare haath mein thamaa diije thakaa huaa huun zaraa dil ko hausla diije bas ab mile hain to kiije na aas-paas kaa khauf jo sang-e-raah mile paanv se haTaa diije ye aur duur hai aur sab yahaan mujhi se hain vo kohkan ki hikaayaat ab bhulaa diije nahin hai aap ko fursat agar tavajjoh ki to main bhi lauTtaa huun ghar ko aagyaa diije vafaa hai jurm to iqraar-e-jurm hai mujh ko ye main huun ye miraa dil lijiye sazaa diije miraa vajud bhi hai aap ki jabin kaa daagh ise bhi harf-e-ghalat ki tarah miTaa diije kal aap ne jo chhuDaayaa to chhuT sakegaa na haat jo uljhanein hain mujhe aaj hi bataa diije ye khel khelaa hai jab pyaar kaa to phir ai dil ab apne aap ko bhi daanv par lagaa diije tamaam umr bhaTakti rahi nazar ki kahin mile koi jise nazraana-e-vafaa diije miri to jumbish-e-lab bhi hai naa-khushi kaa sabab ab aap hi koi tarz-e-bayaan sikhaa diije vo sahme sahme judaai ke muztarib lamhe miri nigaah mein ik baar phir basaa diije gayaa nahin hai abhi daur aap kaa 'anjum' jo dil udaas ho to phir use sadaa diije"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"mahv-e-zaari to rakhaa dil ki lagi ne shab-bhar lekin aansu bhi jo ponchhe to usi ne shab-bhar ye mire dil ki chamak hai ki tiri aankh kaa nuur zehn mein naachte rahte hain nagine shab-bhar ruhein dam-saaz hain to jism bhi hamraaz banein yuun to taDpeinge ye jalte hue siine shab-bhar ajnabi jaan ke Darte rahe sab darvaaze meri aavaaz na pahchaani kisi ne shab-bhar dil ke betaab samundar mein tamannaa ban kar Dubte tairte rahte hain safine shab-bhar us ke baam-falak-aasaar ki tasvir mein gum meri takhil banaati rahi ziine shab-bhar jahaan bedaariyaan baiThi hain muhaafiz ban kar ham ne khvaabon mein nikaale vo dafine shab-bhar aankh uThaa kar bhi nahin dekhtaa ab din mein jise kitnaa bechain rakhaa mujh ko usi ne shab-bhar sher hi kahiye ki shaayad mile taskin 'anjum' yuun to ye chaandni degi nahin jiine shab-bhar"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"chaand taare jise har shab dekhein ham bhi us shokh ko yaarab dekhein yuun milein un se ki apnaa chehra vo bhi hairaan hon, kal jab dekhein pahle bas dil ko khabar thi dil ki ab vafaa aam hui sab dekhein qurb mein kyaa hai jo duuri mein nahin tum jo aao to kisi shab dekhein ji mein hai phir karein izhaar-e-vafaa phir tire larze hue lab dekhein main ki huun ek hi aashufta-khayaal log har baat mein matlab dekhein jo kisi ne kabhi dekhe na sune vo tamaashe vo fusun ab dekhein laakh patthar sahi vo but 'anjum' do-ghaDi ham se mile tab dekhein"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"vo bevafaa koi dam aur jo Thahar jaataa rah-e-talab mein ye dil yuun na dar-ba-dar jaataa tiri gali mein fasaane bikherne ke liye ye laazmi thaa ki ham saa hi be-khatar jaataa tujh ajnabi kaa ho kyaa gham ki is andhere mein main apne-aap ko khud dekhtaa to Dar jaataa tumhaari bandish-e-aadaab se nazar jaagi main be-khabar to yunhi raah se guzar jaataa mujhi mein ho na kisi aanch ki kami varna koi sukhan to tiri ruuh tak utar jaataa koi nigaah to hoti sukun-shanaas kabhi koi nafas to kisi moD par Thahar jaataa vo bu-e-gul hai to ham mauja-e-sabaa 'anjum' vo ham se bach ke chalaa thaa magar kidhar jaataa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"khilaa hai phuul bahut roz mein muqaddar kaa bas ab na band ho darvaaza tere mandar kaa tamaam shahr hai hangaama-e-nashaat mein gum magar ye karb ye sannaaTaa mere andar kaa kabhi na khul ke hansaa huun na royaa ji bhar ke rakhaa hai main ne hamesha qadam baraabar kaa sadaa kisi ki ho aataa hai apne aap se khauf vo ajnabi huun ki ghar kaa rahaa na baahar kaa gurez hai use meri gali se yuun jaise yahaan jo aayaa to ho jaaegaa vo patthar kaa ye gaahe gaahe kaa milnaa bhi koi milnaa hai jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar kaa kabhi kabhi kaa ho qissa to koi dukh bhi sune uThaae bojh bhalaa kaun zindagi bhar kaa asir-e-daam-e-fareb-e-zabaan huaa aakhir na e'tibaar jise aayaa dida-e-tar kaa gham-e-zamaana hai vo tegh-e-tishna-kaam 'anjum' uDe hain paanv agar vaar bach gayaa sar kaa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"chale hi jaaegi kyaa dard ki kaTaari bhalaa rahegi saath kahaan tak ye aah-o-zaari bhalaa jahaan khulus ki azmat samajh sake na koi is anjuman mein ho kyaa qadr-e-jaan-nisaari bhalaa sahi na jaaegi ab ham se ye firaaq ki aag akele sulgein kahaan tak tire pujaari bhalaa nafas nafas mein jo tahlil ho chukaa vo gham chhupaae kaise tabassum ki parda-daari bhalaa baDhaa jo zabt hadon se to khud khuleinge honT rahegaa bazm pe kab tak sukut taari bhalaa chalo yahaan se bhi 'anjum' ko baiThne degi kahaan sukun se ye dil ki be-qaraari bhalaa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"kab lazzaton ne zehn kaa pichhaa nahin kiyaa ye meraa hausla thaa ki lab vaa nahin kiyaa tajdid-e-irtibaat bhi mumkin thi baa'd mein main ne hi is ravish ko gavaaraa nahin kiyaa pahle to ik junun saa arz-e-talab kaa thaa jab vo milaa to dil ne taqaazaa nahin kiyaa suraj rahaa jo din mein mire ghar se duur duur phir main ne raat mein bhi ujaalaa nahin kiyaa kyaa vahm thaa ki khilte hi lab band ho gae kyaa baat thi ki lafz bhi puuraa nahin kiyaa jab meraa ishtiyaaq huaa zabt-aazmaa phir us ne apne aap hi pardaa nahin kiyaa main saada-lauh saada-bayaan saada-aarzu aur us ne saadgi pe bharosaa nahin kiyaa main ne bhi chalte chalte kiyaa thaa yunhi savaal kyaa ho gayaa jo aap ne puuraa nahin kiyaa vo kam-nigaah thaa magar us se churaa ke aankh main ne bhi apne saath kuchh achchhaa nahin kiyaa amrit samajh ke pi liyaa 'anjum' ne zahr-e-gham lekin tumhaare naam ko rusvaa nahin kiyaa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"vo but binaa nigaah jamaae khaDaa rahaa main aankh band kar ke use pujtaa rahaa khush-fahmiyon kaa aaj bharam khul gayaa to kyaa ik moD par to us kaa miraa saamnaa rahaa tum ko to ek umr hui hai judaa hue hairaan huun raat-bhar main kise DhunDhtaa rahaa ik ik daricha band thaa phir bhi ye Dar rahaa chhup-chhup ke jaise koi hamein jhaanktaa rahaa us ki nigaah fitna-adaa to bahaana thi khud meraa dil bhi meraa lahu chustaa rahaa 'anjum' kise khabar ki koi mahv-e-intizaar kal jalti dopahar mein akelaa khaDaa rahaa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"kab lazzaton ne zehn kaa pichhaa nahin kiyaa ye meraa hausla thaa ki lab vaa nahin kiyaa vo kam-nigaah thaa magar us se churaa ke aankh main ne bhi apne saath kuchh achchhaa nahin kiyaa tajdid-e-irtibaat bhi mumkin thi baad mein main ne hi us ravish ko gavaaraa nahin kiyaa pahle to ik junun saa arz-e-talab kaa thaa jab vo milaa to dil ne taqaaza nahin kiyaa suraj rahaa jo din mein mire ghar se duur duur phir main ne raat mein bhi ujaalaa nahin kiyaa kyaa vahm thaa ki khulte hi lab band ho gae kyaa baat thi ki lafz bhi puuraa nahin kiyaa main ne bhi chalte chalte yunhi kar diyaa savaal kyaa ho gayaa jo aap ne puuraa nahin kiyaa main saada-lauh saada-bayaan saada-aarzu aur us ne saadgi pe bharosa nahin kiyaa jab meraa ishtiyaaq huaa zabt-aazmaa phir us ne apne-aap hi parda nahin kiyaa amrit samajh ke pi liyaa 'anjum' ne zahr-e-gham lekin tumhaare naam ko rusvaa nahin kiyaa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"koi sadaa na duur talak naqsh-e-paa koi vo moD hai ki miltaa nahin raastaa koi haan dil ki dhaDkanon se sadaa chhin lo magar chup-chaap hi jo aa ke yahaan bas gayaa koi maanaa ki tere dar pe jhukin aa ke manzilein par ham saa bhi milaa tujhe sach sach bataa, koi dil ki zabaan bahut hai koi ho jo ahl-e-dil honTon se kyaa bataae bhalaa muddaaa koi aankhein jo band kiin to vo ubhre hain aaftaab baahar ki dhuup se na rahaa vaasta koi hairaan ho ke dil se ye puchhaa nigaah ne kyaa vaaqai milaa na tujhe aashnaa koi yaa aasmaan tak nahin jaati miri navaa yaa aasmaan pe suntaa nahin hai navaa koi jitne khayaal utne hi rangon ke daaere miltaa nahin kisi se kahin silsila koi us saada-dil ko kyaa khabar is unch-nich ki 'anjum' ke paas jaa ke bane kyaa baDaa koi"
Anwar AnjumAnwar Anjum