Shayari
kitne hi raaz sab par 'ayaan ho gae
ik tiraa raaz-e-ulfat chhupaate hue
ye kaisi fasaahat ki samajh mein nahin aati
tahrir-e-mohabbat zaraa aasaan likhaa kar
یہ کیسی فصاحت کہ سمجھ میں نہیں آتی
تحریر محبت ذرا آسان لکھا کر
ये कैसी फ़साहत कि समझ में नहीं आती
तहरीर-ए-मोहब्बत ज़रा आसान लिखा कर

kitne hi raaz sab par 'ayaan ho gae
ik tiraa raaz-e-ulfat chhupaate hue
dil lagaane ko saaraa jahaan thaa magar
sochtaa kaun hai dil lagaate hue
maut bar-haq hai jab aa jaae hamein kyaa lekin
zindagi ham tiri raftaar se Dar jaate hain
qaafile mein har ik fard mukhtaar hai
qaafila dekh lenaa luTegaa zarur
chupke chupke apne andar jaate hain
sahme sahme baahar aanaa paDtaa hai
kitne rishton kaa main ne bharam rakh liyaa
ik ta'alluq se daaman chhuDaate hue
bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin