Shayari
muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
jab vasl kaa aaegaa tire saath sanam din
us din ko haqiqat mein kahungaa main janam-din
جب وصل کا آئے گا ترے ساتھ صنم دن
اس دن کو حقیقت میں کہوں گا میں جنم دن
जब वस्ल का आएगा तिरे साथ सनम दिन
उस दिन को हक़ीक़त में कहूँगा मैं जनम-दिन

muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
ek ummid ke sahaare par
kitni taakhir dekh lete hain
kyaa khabar kaun saa rasta tiri jaanib nikle
be-iraada bhi kai baar safar karte hain
laD rahaa huun main akelaa kaar-zaar-e-hast mein
kar faraaham tu bhi zaalim apne hone kaa javaaz
paD jaate hain kitne chhaale haathon mein
aate hain phir chand nivaale haathon mein
huzur aap takalluf mein kyon paDe hue hain
mare huon ke janam-din nahin manaataa koi
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubaarak ho
galim-e-kohna mein jaaDaa faqiron kaa basar hogaa
farishta hai to taqaddus tujhe mubaarak ho
ham aadmi hain to aib-o-hunar bhi rakhte hain
tumhaari saalgirah par yahi du'aa hai tumhein
falak pe jitne sitaare hon utni khushiyaan milein
yahi vo din the jab ik dusre ko paayaa thaa
hamaari saal-girah Thiik ab ke maah mein hai
maan ki duaa na baap ki shafqat kaa saayaa hai
aaj apne saath apnaa janam din manaayaa hai