Shayari
saut kyaa shai hai khaamushi kyaa hai
gham kise kahte hain khushi kyaa hai
ye zamin khvaab hai aasmaan khvaab hai
ik makaan hi nahin laa-makaan khvaab hai
یہ زمیں خواب ہے آسماں خواب ہے
اک مکاں ہی نہیں لا مکاں خواب ہے
ये ज़मीं ख़्वाब है आसमाँ ख़्वाब है
इक मकाँ ही नहीं ला-मकाँ ख़्वाब है

saut kyaa shai hai khaamushi kyaa hai
gham kise kahte hain khushi kyaa hai
itni pi jaae ki miT jaae main aur tu ki tamiz
yaani ye hosh ki divaar giraa di jaae
zindagi kaT gai manaate hue
ab iraada hai ruuTh jaane kaa
ham se tanhaai ke maare nahin dekhe jaate
bin tire chaand sitaare nahin dekhe jaate
aziiz mujh ko hain tufaan saahilon se sivaa
isi liye hai khafaa meraa naakhudaa mujh se
baat apni anaa ki hai varna
yuun to do haath par kinaaraa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai