Quote
"ulTe vo shikve karte hain aur kis adaa ke saath be-taaqati ke taane hain uzr-e-jafaa ke saath bahr-ayaadat aae vo lekin qazaa ke saath dam hi nikal gayaa miraa aavaaz-e-paa ke saath be-parda ghair paas use baiThaa na dekhte uTh jaate kaash ham bhi jahaan se hayaa ke saath vo laala-ru gayaa na ho gulgasht-e-baagh ko kuchh rang bu-e-gul ke evaz hai sabaa ke saath us ki gali kahaan ye to kuchh baagh-e-khuld hai kis jaae mujh ko chhoD gai maut laa ke saath aati hai bu-e-daagh-e-shab-e-taar hijr mein siina bhi chaak ho na gayaa ho qabaa ke saath gulbaang kis kaa mashvara-e-qatl ho gayaa kuchh aaj bu-e-khun hai vahaan ki havaa ke saath the vaade se phir aane ke khush ye khabar na thi hai apni zindagaani usi bevafaa ke saath kuche se apne ghair kaa munh hai miTaa sake aashiq kaa sar lagaa hai tire naqsh-e-paa ke saath allaah re gumrahi but o but-khaana chhoD kar 'momin' chalaa hai kaabe ko ik paarsaa ke saath"







